dukh to ye hai zindagi ka KHwab pura rah gaya
By azwar-shiraziFebruary 26, 2024
dukh to ye hai zindagi ka khwab pura rah gaya
tu mukammal ho gai aur main adhura rah gaya
mujh ko bachpan se hi logon ki samajh aane lagi
so kisi ne baat jo bhi ki main zer-e-tah gaya
ab mere andar khas-o-khashak tak baqi nahin
ashk ban kar wo meri aankhon se itna bah gaya
mujh sa bad-qismat na koi hoga tere shahr mein
jo gharaunda khwab ka main ne banaya dhah gaya
sochta hun chup lagi shaklon ki haalat dekh kar
bach gaya wo jis ke munh mein jo bhi aai kah gaya
ab mujhe wo zakhm de jo maut ka ba'is bane
warna tera hijr to mera kaleja sah gaya

16910 viewsghazal • English