dukhe hue hain hamein aur ab dukhao mat jo ho gae ho fasana to yaad aao mat khayal-o-khwab mein parchhaiyan si nachti hain ab is tarah to meri ruh mein samao mat zamin ke log to kya do dilon ki chahat mein khuda bhi ho to use darmiyan lao mat tumhaara sar nahin tiflan-e-rah-guzar ke liye dayar-e-sang mein ghar se nikal ke jao mat siwae apne kisi ke bhi ho nahin sakte hum aur log hain logo hamein satao mat hamare ahd mein ye rasm-e-ashiqi thahri faqir ban ke raho aur sada lagao mat wahi likho jo lahu ki zaban se milta hai sukhan ko parda-e-alfaz mein chhupao mat supurd kar hi diya aatish-e-hunar ke to phir tamam khak hi ho jao kuchh bachao mat