dukhi dilon ke liye taziyana rakhta hai

By anjum-rumaniOctober 25, 2020
dukhi dilon ke liye taziyana rakhta hai
har ek shakhs yahan ek fasana rakhta hai
kisi bhi haal mein raazi nahin hai dil hum se
har ek tarah ka ye kafir bahana rakhta hai


azal se dhang hain dil ke ajib se shayad
kisi se rasm-o-rah ghaebana rakhta hai
koi to faiz hai koi to baat hai is mein
kisi ko dost yunhi kab zamana rakhta hai


faqih-e-shahr ki baaton se dar-guzar behtar
bashar hai aur gham-e-ab-o-dana rakhta hai
muamlat-e-jahan ki khabar hi kya us ko
muamla hi kisi se rakkha na rakhta hai


hamin ne aaj tak apni taraf nahin dekha
tawaqquat bahut kuchh zamana rakhta hai
qalandari hai ki rakhta hai dil ghani 'anjum'
koi dukan na koi kar-khana rakhta hai


73146 viewsghazalEnglish