duniya ajib khel tamasha lage mujhe har aadmi hujum mein tanha lage mujhe gunge mujahidon ka ye thahra hua julus parchhaiyon ka ek jazira lage mujhe bazar-e-sang-o-khisht mein sau nazuki ke sath apni hayat kanch ki gudiya lage mujhe suraj-mukhi ki tarah badalti hai rukh hayat jab aaftab-e-waqt ubharta lage mujhe is darja mauj-e-khun hai ragon mein sharar-fishan umr-e-rawan to aag ka dariya lage mujhe pau phutte hi dur nikal jaunga 'sahar' sansar ek rain-basera lage mujhe