duniya-dari to kya aati daman sina sikh liya

By khalilur-rahman-azmiFebruary 27, 2024
duniya-dari to kya aati daman sina sikh liya
marne ke the lakh bahane phir bhi jina sikh liya
aise darweshon se bhi nibhai apni hansi bhi sath udai
palkon ke sae mein chhup kar aansu pina sikh liya


dharti kitne nach nachae tab ek kaudi jeb mein aae
edi se choti tak pahunche kaise pasina sikh liya
apne aap pe kyon itraen apne aap ko kuchh samjhaen
kabhi kabhi hai jhuth bhi kahta ye aaina sikh liya


16317 viewsghazalEnglish