duniya duniya sair safar thi shauq ki rah tamam hui is basti mein subh hui thi is basti mein sham hui kaisi lahar hai sard hawa ki sare thithure baithe hain kal tak to bas hum chup chup the aaj khamoshi aam hui mausam badle dil ka suraj dukh ki ghata mein dub gaya pyar ke lail-o-nahaar na puchho sham se pahle sham hui dard ki barkha tut ke barsi phut bahe palkon ke band is barish mein waz-e-wafa ki har koshish nakaam hui halki si ek lahar thi ab wo tufan ban kar ubhri hai ek be-nam khalish thi pahle ab wo tera nam hui tere sar par raat ki rani mahak mahak kar phul bani mere sar mein phul ki khushbu shorish ka paigham hui chhota sa wo dil ka tukda kya kya faslen deta tha haif qimar-e-ishq ke karan kaisi zamin nilam hui pahle to ek saya ubhra phir saya taswir bana ab wo shakl meri diwar pe goya naqsh-e-dawam hui ek amal ke do pahlu aawaz-e-salasil jazb ki chup wo bhi mere nam hui thi ye bhi mere nam hui ahl-e-hunar ki duniya-talabi shauq-e-shahadat kya karti ek talwar thi arz-e-hunar ki wo bhi zeb-e-niyam hui 'baqar' tum sayyad-zade ho sar ko uthae phirna kya shauq-o-talab ki hujjat-e-akhir aakhir-kar tamam hui