duniya ka main ghulam abhi tak nahin hua

By ahmad-kamal-hashmiMay 24, 2024
duniya ka main ghulam abhi tak nahin hua
panchhi ye zer-e-dam abhi tak nahin hua
barson se kah raha hun bhula de use ai dil
chhota sa ek kaam abhi tak nahin hua


rasta bhi khatm ho gaya manzil bhi mil gai
lekin safar tamam abhi tak nahin hua
diwanon mein shumar to hone laga mera
diwangi mein nam abhi tak nahin hua


hum donon ek duje ke aa to gae qarib
par fasla tamam abhi tak nahin hua
duniya se karta rahta hun har waqt guftugu
khud se main ham-kalam abhi tak nahin hua


khargosh ab ke soe zaruri nahin 'kamal'
kachhwa to tez-gam abhi tak nahin hua
63915 viewsghazalEnglish