duniya ko ehtiram ka matlab nahin pata yani hamare nam ka matlab nahin pata muddat se chal raha hun main manzil ki chah mein ab tak mujhe qiyam ka matlab nahin pata kitni bhi dhum-dham ho lagta nahin hai ji is dil ko dhum-dham ka matlab nahin pata fatwa wo de raha hai musalsal haram ka jis shakhs ko haram ka matlab nahin pata ye nafraten ye shor ye nare ye qatl-e-am tum ko hamare ram ka matlab nahin pata kahte hain kyon udas ho 'shahid-karim’ tum jin ko udas sham ka matlab nahin pata