duniya mein hun duniya ka talabgar nahin hun

By akbar-allahabadiMarch 23, 2024
duniya mein hun duniya ka talabgar nahin hun
bazar se guzra hun kharidar nahin hun
zinda hun magar zist ki lazzat nahin baqi
har-chand ki hun hosh mein hushyar nahin hun


is khana-e-hasti se guzar jaunga be-laus
saya hun faqat naqsh-ba-diwar nahin hun
afsurda hun ibrat se dawa ki nahin hajat
gham ka mujhe ye zoaf hai bimar nahin hun


wo gul hun khizan ne jise barbaad kiya hai
uljhun kisi daman se main wo khar nahin hun
ya rab mujhe mahfuz rakh us but ke sitam se
main us ki inayat ka talabgar nahin hun


go dawa-e-taqwa nahin dargah-e-khuda mein
but jis se hon khush aisa gunahgar nahin hun
afsurdagi o zoaf ki kuchh had nahin 'akbar'
kafir ke muqabil mein bhi din-dar nahin hun


84582 viewsghazalEnglish