duniya mein wahi kuchh hai meri kar-guzari
By jamal-ehsaniFebruary 26, 2024
duniya mein wahi kuchh hai meri kar-guzari
jo 'umr sar-e-kucha-e-dildar guzari
hum ko bhi sharaf bakhsh kabhi dar-ba-dari ka
us aankh se ye 'arz kai bar guzari
dil war diya us ke dar-o-baam pe main ne
jaan nazr sar-e-saya-e-diwar guzari
aaj us se mile hain to ye mahsus hua hai
jitni bhi guzari hai wo bekar guzari
khud hi se kabhi haar kabhi jit gaya main
khud hi se sada barsar-e-paikar guzari
har aan main masruf-e-mohabbat raha lekin
likkhi hi nahin us ne meri kar-guzari
is dil ki zamin sair-gah-e-'ishq hai aisi
ta'til yahan us ne kai bar guzari

88617 viewsghazal • English