duniya na chahiye tujhe uqba na chahiye
By abdullah-ali-ejazOctober 8, 2023
duniya na chahiye tujhe uqba na chahiye
aur dil ke be-shi'ar tamanna na chahiye
mare hai sar-ba-sang to phute hai ju-e-shir
kohkan ye kaun hai jise tesha na chahiye
josh-e-junun mein jaan se guzarna sahi magar
josh-e-junun mein had se guzarna na chahiye
karta hai kaun husn ka duniya mein haq ada
waraftagi ba-tarz-e-zulekha na chahiye
rindan-e-mai-kada ko mubarak bala-kashi
hum ko sharab-e-jalwa-e-jaanana chahiye
gardish mein saghar-o-mai-o-mina agar nahin
'e'jaz' lab pe na’ra-e-mastana chahiye

78638 viewsghazal • English