duniya sanwar gai hai nizam-e-digar ke baad manzil pe aa gai hai mashiyyat safar ke baad jaise dil-o-nazar ke hijabaat uth gae aalam khabar ka hai nigah-e-be-khabar ke baad lale mein rang hai ye kahan ye lahu tarang duniya hasin hai mere zauq-e-nazar ke baad biti hui hayat mohabbat ka tazkira sham-o-sahar ki yaad hai sham-o-sahar ke baad main aa gaya sukut-o-tabassum ke darmiyan wo muskura diye sukhan-e-mukhtasar ke baad har raste ko lut liya e'timad ne rahzan bhi ek shai hai magar rahbar ke baad tariki-e-hayat mein rakhshan hai husn-e-dost jalwe kahan rahenge hujum-e-nazar ke baad hasil hai kaenat ka dard-e-dil-e-hayat duniya mein kya raha meri aah-e-sahar ke baad manzil pe chhid gai hai kudurat ki dastan har karwan ne gard udai safar ke baad naqsh-e-qadam ki aankh khuli teri rah mein raste bhi so gae hain teri rahguzar ke baad ahl-e-hunar ko dekh raha hun ghamin 'nushur' duniya hunar hai ras bhi aae hunar ke baad