dur nikla hai ufuq par kahin tara koi
By shahbaz-choudharyJanuary 5, 2024
dur nikla hai ufuq par kahin tara koi
yaad aata hai mujhe jaan se pyara koi
ishq-e-nakaam ka ilzam nasibon pe gaya
isi nisbat se koi jita na haara koi
tum jise chaho use chahe zamana sara
is se badh kar nahin hota hai khasara koi
shahr ka shahr ta'aqub mein nikal aaya hai
main ne basti pe kiya tha jo ishaara koi
tum na samjhoge kabhi taj ka mitti hona
tum ne dekha hi nahin waqt ka mara koi
rahguzar nam ki teri thi so tanha kati
hum ne aawaz lagai na pukara koi
yaad aata hai mujhe jaan se pyara koi
ishq-e-nakaam ka ilzam nasibon pe gaya
isi nisbat se koi jita na haara koi
tum jise chaho use chahe zamana sara
is se badh kar nahin hota hai khasara koi
shahr ka shahr ta'aqub mein nikal aaya hai
main ne basti pe kiya tha jo ishaara koi
tum na samjhoge kabhi taj ka mitti hona
tum ne dekha hi nahin waqt ka mara koi
rahguzar nam ki teri thi so tanha kati
hum ne aawaz lagai na pukara koi
94464 viewsghazal • English