dur rah kar qarin jaisi hai

By mannan-qdeer-mannanJanuary 18, 2022
dur rah kar qarin jaisi hai
be-yaqini yaqin jaisi hai
mera koi makan nahin lekin
meri haalat makin jaisi hai


naql hoti hai asl ka hissa
behtari behtarin jaisi hai
hijr se wasl ki mohabbat bhi
sanp aur aastin jaisi hai


ye kadhai hai us ke hath ki or
dekhne mein machine jaisi hai
jis jagah chahen aap ruk jaen
dil ki wusat zamin jaisi hai


farq zahir ho kis tarah un ka
har amanat amin jaisi hai
aasman se pare bhi dekhoge
aankh gar durbin jaisi hai


us ka itna hi ehtiram karo
aarfi aarfin jaisi hai
86898 viewsghazalEnglish