dur tak phail gai sab ki zaban tak pahunchi

By aleena-itratJune 2, 2024
dur tak phail gai sab ki zaban tak pahunchi
baat tab ja ke mere wahm-o-guman tak pahunchi
pyas ne mujh ko to bas mar hi dala tha magar
kashish-e-zist meri aab-e-rawan tak pahunchi


khak jab khak se takrai to ek shor utha
jaan jab jaan se guzri to aman tak pahunchi
dhadkano mein teri aamad se wo jhankar hui
lab khule bhi nahin aur baat bayan tak pahunchi


meri aankhon se mere khwab churane wala
puchhta hai ki meri nind kahan tak pahunchi
koi to shai thi 'alina' jo in aankhon se chali
dil mein paiwast hui aur rag-e-jaan tak pahunchi


73009 viewsghazalEnglish