dur ufuq ke par se aawaz ke parwardigar sadiyon soi khamushi ko samne aa kar pukar jaane kin hathon ne khela raat sahil par shikar sher ki aawaz ko tarsa kiye sune kachhaar khwab ke sukhe hue khakon mein lazzat ka ghubar nind ke dimak-zada gatte ke pichhe intizar tirgi kaise mitegi teri nusrat ke baghair aasman ki sidhiyon se nuqrai faujen utar aakhir-e-shab sab sitare so rahe hain be-khabar koi suraj ko khabar kar do ki ab shab-khun mar phailta jata hai kirnon ka sunahri jal phir jagmaga utthi hain shamshiren qatar-andar-qatar jaane kis ko dhundne dakhil hua hai jism mein haddiyon mein rasta karta hua pila bukhar jism ki mitti na le jae baha kar sath mein dil ki gahrai mein girta khwahishon ka aabshaar