dushman-e-jaan ke liye lafz-e-masiha nikla

By idris-azadJanuary 14, 2022
dushman-e-jaan ke liye lafz-e-masiha nikla
sach mere munh se to nikla magar aadha nikla
dahr mein jis ka sharar aag se aage hai kahin
kaisi mitti hai ye jis se tera banda nikla


us ne jate hue bas itna kaha jata hun
mere honton se faqat haule se achchha nikla
dekh to kaise chhalak kar teri jaanib lapka
tere honton ka to ye jam bhi pyasa nikla


ek hasin ne meri taqdir badal dali hai
main jise chand samajhta tha sitara nikla
tu ne dekha hi nahin zulm kiya hai mujh par
dil se iman-o-yaqin sare ka sara nikla


wo imarat si giri thi jo mere sine mein
us ki buniyaad se kahte hain dafina nikla
aisa kya tu ne kiya tha ki teri mahfil se
mar gaya mar gaya har shakhs ye kahta nikla


ishq painda o rakhshanda wafa zindabaad
aap ko dekh ke be-sakhta nara nikla
dekh to rang bhi taswir se bichhde hue hain
aur tujh se bhi to apna yahi rishta nikla


34923 viewsghazalEnglish