dushmani hai na kahin yari hai jine wale teri fankari hai mahw-e-hairat samaaten hain abhi khamushi ka bayan jari hai kuchh to hum aks hain aaine bhi aur kuchh apni adakari hai chehragi chup hai khadd-o-khal khamosh aainon par sukut tari hai aaj-kal dad-e-sukhan dena bhi 'mauj' 'ghaalib' ki taraf-dari hai