dushmani ho magar KHush-kalami rahe
By syed-zafar-kashipuriiFebruary 7, 2022
dushmani ho magar khush-kalami rahe
zikr-e-khayyam ho fikr-e-jami rahe
gulsitan ki faza hum ko achchhi lagi
khushbuon ke sada hum payami rahe
aadamiyyat ka hargiz taqaza nahin
tere kirdar mein koi khami rahe
tere mai-khane ka kaisa dastur hai
jam ho hath mein tishna-kaami rahe
zehn-o-dil par hain pahre lage aaj bhi
kab talak ai khuda ye ghulami rahe
jo saubat ke khadshat se dar gae
rah-e-ulfat mein wo sust-gami rahe
har taraf pyar ke phul khilte rahen
lai hijazi meri naghma shami rahe
zikr-e-khayyam ho fikr-e-jami rahe
gulsitan ki faza hum ko achchhi lagi
khushbuon ke sada hum payami rahe
aadamiyyat ka hargiz taqaza nahin
tere kirdar mein koi khami rahe
tere mai-khane ka kaisa dastur hai
jam ho hath mein tishna-kaami rahe
zehn-o-dil par hain pahre lage aaj bhi
kab talak ai khuda ye ghulami rahe
jo saubat ke khadshat se dar gae
rah-e-ulfat mein wo sust-gami rahe
har taraf pyar ke phul khilte rahen
lai hijazi meri naghma shami rahe
38976 viewsghazal • English