dushwari-e-manzil se dushwar na ho jaen
By mariyam-fatimaMay 17, 2022
dushwari-e-manzil se dushwar na ho jaen
hum apne hi raste ki diwar na ho jaen
zakhmon pe na bhaari ho ye chaaragari teri
achchhe bhi tere hathon bimar na ho jaen
mangi na dua hum ne ye soch bahaaron ki
gulshan kahin auron ke gulzar na ho jaen
ek aur taqaza hai hamrah chalo mere
dar ye bhi hai dil mein hum tayyar na ho jaen
ye sans ka aa jaana ye dil ka dhadak uthna
ye kaam bhi kal hum ko dushwar na ho jaen
tariki-e-shab se ab kuchh dur sawera hai
bas subh se pahle hum bedar na ho jaen
manzil ko dikhane hain pairon ke abhi chhaale
allah kahin raste hamwar na ho jaen
hai zer-e-nazar sahil khamosh hai tufan bhi
is bar kahin dariya hum par na ho jaen

48147 viewsghazal • English