dusre nam se jiya jae
By nomaan-shauqueFebruary 28, 2024
dusre nam se jiya jae
zahr shohrat hai kyon piya jae
haar mane pe war kya karna
'aql ko rasta diya jae
ye bhi mumkin hai mar miten tum par
ye bhi mumkin hai ji liya jae
aur kuchh zehn se nikalta nahin
ya'ni khud ko bhula diya jae
aaj yaum-e-shahadat-e-haq hai
aaj chup-chap rah liya jae
jism ke jagne ka waqt hai ye
ab mujhe lautne diya jae
khush-gumani ke jal chuke baghat
ab to qibla badal liya jae
zahr shohrat hai kyon piya jae
haar mane pe war kya karna
'aql ko rasta diya jae
ye bhi mumkin hai mar miten tum par
ye bhi mumkin hai ji liya jae
aur kuchh zehn se nikalta nahin
ya'ni khud ko bhula diya jae
aaj yaum-e-shahadat-e-haq hai
aaj chup-chap rah liya jae
jism ke jagne ka waqt hai ye
ab mujhe lautne diya jae
khush-gumani ke jal chuke baghat
ab to qibla badal liya jae
63293 viewsghazal • English