ehsas se aari hain wo andar se ziyaada

By aftab-ranjhaMay 22, 2024
ehsas se 'ari hain wo andar se ziyaada
ahbab mere sakht hain patthar se ziyaada
tanha sa pada rahta hun main kunj-e-makan mein
ek shor sa barpa hai samundar se ziyaada


kuchh yaadon ke sae mujhe jine nahin dete
zakhmi hun main alfaz ke khanjar se ziyaada
niklun main kahan par ki shanasa nahin koi
viran hai ye shahr mere ghar se ziyaada


raste mere gum-gashta hain manzil bhi hui gum
chalta hun bada tez main rahbar se ziyaada
hai fakhr ki hun shah-e-madina ka main khadim
hai kaun mera shafe'-e-mahshar se ziyaada


hairat hai ki bazar mein kis chiz ko bechun
dastar ke bhao hain mere sar se ziyaada
koshish jo hui hum se wo hum ne bhi ki 'barham'
milta hi nahin rizq muqaddar se ziyaada


89409 viewsghazalEnglish