ehsasat ki basti mein jab har jaanib ek sannata tha main aawazon ke jangal mein tab jaane kya dhund raha tha jin rahon se apne dil ka har qissa mansub raha hai ab to ye bhi yaad nahin hai un rahon ka qissa kya tha aaj usi ke afsanon ka mahfil mahfil charcha hoga kal chaurahe par tanha jo shakhs bahut khamosh khada tha yun jiwan ras kab deta hai phir se apne zakhm kuredo tum ne aakhir kya socha tha dard se kyun sannyas liya tha aisi koi baat nahin thi un rahon se laut bhi aate lekin un rahon pe kisi ne kuchh din apna sath diya tha is nagri mein lag-bhag sab ne ek tarah se choten khain lekin zakhmon ko sahlane ka sab ka andaza juda tha tum un begani rahon mein aakhir kis ko dhund rahe ho wo to kab ka laut chuka hai kal jo tumhaare sath chala tha