ek aan mein hui ojhal zamin nigahon se
By nomaan-shauqueFebruary 28, 2024
ek aan mein hui ojhal zamin nigahon se
koi pukarne wala nahin nigahon se
khuda gunah ki lazzat ko barqarar rakhe
na dekh aise mujhe khashmagin nigahon se
ghazal ke husn ko darkar nazirin nahin
ziyaada kaam na len sama’in nigahon se
tamam phul mujhe rang se lubhate the
tamam raushniyan yaad thin nigahon se
shuru’-e-‘ishq mein kam pad gae the jab alfaz
kai zabanen tarashi gain nigahon se
main aasman pe tha tum ko yaad to hoga
mujhe utara gaya ba’d-azin nigahon se
mere wo she'r bhi aae pasand us ko wah
chhupa rakha tha jinhen nukta-bin nigahon se
koi pukarne wala nahin nigahon se
khuda gunah ki lazzat ko barqarar rakhe
na dekh aise mujhe khashmagin nigahon se
ghazal ke husn ko darkar nazirin nahin
ziyaada kaam na len sama’in nigahon se
tamam phul mujhe rang se lubhate the
tamam raushniyan yaad thin nigahon se
shuru’-e-‘ishq mein kam pad gae the jab alfaz
kai zabanen tarashi gain nigahon se
main aasman pe tha tum ko yaad to hoga
mujhe utara gaya ba’d-azin nigahon se
mere wo she'r bhi aae pasand us ko wah
chhupa rakha tha jinhen nukta-bin nigahon se
79711 viewsghazal • English