ek agar paimana hota
By fahmi-badayuniFebruary 5, 2024
ek agar paimana hota
mai-khana mai-khana hota
ghar chahe virana hota
un ka aana-jaana hota
main to khud ko bhul gaya tha
tum ne to pahchana hota
aap agar hunkare dete
aur hi kuchh afsana hota
har ladki jo laila hoti
har ladka diwana hota
donon mil kar hasti bunte
'ishq ka tana-bana hota
kash tumhaare panw ka moza
'fahmi' ka dastana hota
mai-khana mai-khana hota
ghar chahe virana hota
un ka aana-jaana hota
main to khud ko bhul gaya tha
tum ne to pahchana hota
aap agar hunkare dete
aur hi kuchh afsana hota
har ladki jo laila hoti
har ladka diwana hota
donon mil kar hasti bunte
'ishq ka tana-bana hota
kash tumhaare panw ka moza
'fahmi' ka dastana hota
58005 viewsghazal • English