ek aisa bhi waqt aata hai
By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
ek aisa bhi waqt aata hai
saya diwar bhul jata hai
chahiye hum ko duniya wali aankh
aasman kitna dekh pata hai
aisa pahle nahin tha mere sath
ghar bahut dur tak bulata hai
ruth kar hum bhi bhul jate hain
dusra bhi nahin manata hai
wo bhanwar to abhi pada hi nahin
jo kinara bhi sath lata hai
wo junun jis pe naz tha mujh ko
ab tamashe ke kaam aata hai
saya diwar bhul jata hai
chahiye hum ko duniya wali aankh
aasman kitna dekh pata hai
aisa pahle nahin tha mere sath
ghar bahut dur tak bulata hai
ruth kar hum bhi bhul jate hain
dusra bhi nahin manata hai
wo bhanwar to abhi pada hi nahin
jo kinara bhi sath lata hai
wo junun jis pe naz tha mujh ko
ab tamashe ke kaam aata hai
28821 viewsghazal • English