ek aisa mod sar-e-rahguzar bhi aaega wufur-e-khauf mein lutf-e-safar bhi aaega ye us ka shahr hai us ki mahak batati hai zara talash karo us ka ghar bhi aaega isi yaqin par har zulm sahte rahte hain ki shakh-e-sabr pe ek din samar bhi aaega qarib-e-manzil-e-jaanan surur-e-dil ke sath junun ki fitna-taraazi se dar bhi aaega khule rahenge dariche is aas par ghar ke kabhi to jhonka hawa ka idhar bhi aaega chhupae phirne se kab ishq-o-mushk chhupte hain chadhega chand to sab ko nazar bhi aaega ab us ke band kiwadon ke pas baith rahen jo shakhs ghar se gaya hai wo ghar bhi aaega sarishk-e-khun ki tarah lafz aankh se tapken to phir dua mein 'munawar' asar bhi aaega