ek ajab khauf umad aata hai darwazon se raat hoti hai to bhar jata hun aawazon se main kahan us ke takhayyul pe hun khulne wala kyon mujhe napta rahta hai wo andazon se dard ki aanch kabhi tal mein dhal jati hai raushni phut nikalti hai kabhi sazon se mere allah ka ehsan bahut hai mujh par meri aawaz juda rahti hai aawazon se