ek barhaman ne kaha hai mere haal-e-zar par ho ke momin mar raha hai kyun but-e-pindar par dekh kar barish ki bunden sochta rahta hun main ro raha hai aasman bhi aaj hijr-e-yar par jaane kitne aashiqon ki jaan ka dushman hai ye jo hasin dimpal pada hai aap ke rukhsar par hai mariz-e-ishq to mahbub ke pahlu mein ja is maraz ki to dawa milti nahin attar par yun laga us gul-badan ko aaj chhu lene ke baad ungliyan rakh di hon main ne jaise nok-e-khar par sher kab main ne kahe hain khun thuka hai 'bilal' dad to banti hai sahab mere in ashaar par