ek bose ke liye itna hamein dauDaenge
By masroor-shahjahanpuriNovember 21, 2021
ek bose ke liye itna hamein daudaenge
kya khabar thi wo qutub-minar par chadh jaenge
chaar din ke ishq ne hum ko khamira kar diya
dekhna hai aur wo kitna karam farmaenge
hijr ke session mein hum ne bhi irada kar liya
thath se khatiya bichha kar din dhale so jaenge
bad-duaen de rahe ho waqai afsos hai
tum kahan jaoge jab ushshaq hi mar jaenge
kuchh to kahiye aap le kar aaenge kitna jahez
zindagi bhar kya sunahre khwab hi dikhlaenge
is qadar naraaz hain 'masrur' se wo in dinon
kah rahe hain ja ke thane mein rapat likhwaenge

12832 viewsghazal • English