ek but hai jise meri nazar DhunDh rahi hai

ek but hai jise meri nazar dhundh rahi hai
mushkil hai mulaqat magar dhundh rahi hai

lakhon mein kisi ek ke kandhon pe milega
wo sar ki jise azmat-e-sar dhundh rahi hai

manzil ne mere panw ko chuma hai kai bar
main wo hun jise gard-e-safar dhundh rahi hai

ek bar karo jang mein us man ka tasawwur
jo faut hua lakht-e-jigar dhundh rahi hai

parwaz ko baqi hain abhi aur bhi ambar
hasrat meri ab zarf ke par dhundh rahi hai

ek roz udasi ne mera nam suna tha
us din se mujhe sham-o-sahar dhundh rahi hai

khwahish hai badi der se 'kafir' ki jabin ko
sajde ke liye yar ka dar dhund rahi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close