ek chand tirgi mein samar raushni ka tha phir bhed khul gaya wo bhanwar raushni ka tha suraj pe tu ne aankh tareri thi yaad kar binaiyon pe phir jo asar raushni ka tha sab chandni kisi ki inayat thi chand par us daghdar show pe kawar raushni ka tha maghrib ki mad-bhari hui raaton mein kho gaya is ghar mein koi lakht-e-jigar raushni ka tha dariya mein us ne dub ke kar li hai khud-kushi jis shai ka aasman pe safar raushni ka tha zarre ko aaftab banaya tha hum ne aur dharti pe qahr sham-o-sahar raushni ka tha