ek charagh aur ujale mein na rakkha jae
By nomaan-shauqueFebruary 28, 2024
ek charagh aur ujale mein na rakkha jae
hum ko insaf ke dhoke mein na rakkha jae
mujh ko jis shakhs ka nashsha hai use dhundh ke lao
mujh ko in sanpon ke narghe mein na rakkha jae
ek haqiqat se mujhe parda uthana hai so ab
mere kirdar ko qisse mein na rakkha jae
log betab hain duniya ko jalane ke liye
is qadar soz bhi baje mein na rakkha jae
hum se lafzon mein na ki jaegi ma'ni ki talash
husn itna hai to parde mein na rakkha jae

83097 viewsghazal • English