ek dam dil mein utar jae jo KHanjar aap ka

By farhat-ehsasFebruary 6, 2024
ek dam dil mein utar jae jo khanjar aap ka
'farhat-ehsas' apna ban jae qalandar aap ka
ho ke chakna-chur phir pur-nur hona hai mujhe
kab mere shishe se takraega patthar aap ka


raqs mera jism chahe jis tasawwur mein kare
raqs ke pesh-e-nazar rahta hai mehwar aap ka
sakht hairat mein pade hain shahr bhar ke ahl-e-wasl
raat bhar khali pada rahta hai bistar aap ka


bhid mein se sar utha kar is qadar mat dekhiye
bhid warna kat kar le jaegi sar aap ka
aap to bas ek shab aaghosh mein aa jaiye
subh hone tak nikal jaega sab dar aap ka


mujh ko apni ek qatra hukmrani chahiye
aur is ke ba'd phir sara samundar aap ka
bechta hai thok mein tanqid ka bazar use
'farhat-ehsas' apne she'ron mein hai phutkar aap ka


97425 viewsghazalEnglish