ek dhoka hai KHush nahin hun main
By aditya-tiwari-shamsFebruary 22, 2025
ek dhoka hai khush nahin hun main
kaun kahta hai khush nahin hun main
ek rishta bachana hai jis mein
wo bhi tanha hai khush nahin hun main
kya sabab hai ki sirf mere ba-juz
sab ko lagta hai khush nahin hun main
khush-mizaji mein sha'iri kaisi
phir to achchha hai khush nahin hun main
kya sitam hai ki tum ko pa kar bhi
aisa lagta hai khush nahin hun main
yar aise hain kya kahun tum se
yar aisa hai khush nahin hun main
kaun kahta hai khush nahin hun main
ek rishta bachana hai jis mein
wo bhi tanha hai khush nahin hun main
kya sabab hai ki sirf mere ba-juz
sab ko lagta hai khush nahin hun main
khush-mizaji mein sha'iri kaisi
phir to achchha hai khush nahin hun main
kya sitam hai ki tum ko pa kar bhi
aisa lagta hai khush nahin hun main
yar aise hain kya kahun tum se
yar aisa hai khush nahin hun main
95289 viewsghazal • English