ek diya aisa bujha hai mujh mein nauhagar! ab ke hawa hai mujh mein aks-dar-aks bikharna hai mujhe jaane kya tut gaya hai mujh mein na koi khwab, na aansu na khayal kya ajab qaht pada hai mujh mein chashm hairan hai, sar-e-aina runuma kaun hua hai mujh mein dil sulagne ka sabab hijr, na wasl masala is se siwa hai mujh mein munkashif! aaj talak ho na saka main khala hun ki khala hai mujh mein