ek diya dahliz pe rakha bhul gaya

ek diya dahliz pe rakkha bhul gaya
ghar ko laut ke aane wala bhul gaya

ye kaisi be-ab zamin ka samna tha
khud ko qatra qatre ko dariya bhul gaya

main to tha maujud kitab ke lafzon mein
wo hi shayad mujh ko padhna bhul gaya

kis ke jism ki barish ne sairab kiya
kyun udna mausam ka parinda bhul gaya

aakhir ye hona tha aakhir yahi hua
duniya mujh ko aur main duniya bhul gaya

main bhi hun mansub kisi ke qatl se ab
suraj meri chhat pe chamakna bhul gaya

wafa ka khota sikka kab tak chalta 'tur'
achchha hua jo apna paraya bhul gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close