ek dost bewafa jo hua to pata chala

By ahmed-arsalanApril 18, 2023
ek dost bewafa jo hua to pata chala
wo sath chalte chalte ruka to pata chala
raste ke bichon-bich pada tha main kha ke ghash
logon ke munh se jab ye suna to pata chala


ya khush tha ya udas tha hamrah mere wo
main us ke darmiyan se hata to pata chala
karta tha tazkira wo mere aansuon pe roz
ranj-o-alam se pala pada to pata chala


anmol kis qadar tha kisi ko khabar na thi
duniya se jab chala wo gaya to pata chala
aasan aashiqi hai samajhte the sab yahi
sach kya hai main ne jab ye likha to pata chala


basti mein jis ne aag lagai thi dosto
ab us ka hi makan jala to pata chala
waqif nahin tha apni tabiat se 'arsalan'
kuchh roz mere sath raha to pata chala


90784 viewsghazalEnglish