ek dusre ka hath bhi pakDe hue hain log
By wasim-nadirJanuary 5, 2024
ek dusre ka hath bhi pakde hue hain log
phir bhi ye lag raha hai akele khade hain log
duniya kahan kahan hai kisi ko khabar nahin
khush-fahmiyon ki qabr mein soe hue hain log
us samt ja rahe hain jidhar zindagi nahin
aankhen khuli hui hain magar so rahe hain log
suraj zakat bant ke wapas chala gaya
kashkol hath mein liye ab bhi khade hain log
'nadir' tum apni pyas kahan le ke aa gae
qatre udhaar mang ke dariya bane hain log

82647 viewsghazal • English