ek ek lamha guzara ja raha hai hosh mein

By kaif-moradaabadiNovember 3, 2020
ek ek lamha guzara ja raha hai hosh mein
ai zahe-qismat jo hain tufan ki aaghosh mein
ab ye aalam hai hamara bandagi ke josh mein
ek sajda be-khudi mein ek sajda hosh mein


maslahat kuchh bhi na kahne de to is ka kya ilaj
jaane kitni dastanen hain lab-e-khamosh mein
uf ye sailab-e-hawadis hae ye tufan-e-gham
yun bhi lata hoga diwane ko koi hosh mein


dar hai ahl-e-karwan ki tezi-e-raftar se
apni manzil bhi na kho baithen kisi din josh mein
samne mahshar ho ya kaunain chahe kuchh bhi ho
un ka diwana to ab aata nahin hai hosh mein


'kaif' se puchhe koi tere karam ki wusaten
us ne dekha hai do-alam ko teri aaghosh mein
11067 viewsghazalEnglish