ek faramosh kahani mein raha

ek faramosh kahani mein raha
main jo us aankh ke pani mein raha

rukh se udta hua wo rang-e-bahaar
ek taswir purani mein raha

main ki madum raha surat-e-khwab
phir kisi yaad-dahani mein raha

dhang ke ek thikane ke liye
ghar-ka-ghar naql-e-makani mein raha

main thaharta gaya rafta rafta
aur ye dil apni rawani mein raha

wo mera naqsh-e-kaf-e-pa-e-talab
ahd-e-rafta ki nishani mein raha

main ki hagama-e-yak-khwab liye
koi din aalam-e-fani mein raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close