ek gham-nasib ko tere gham se mafar nahin

By abdul-aziz-khalidApril 6, 2023
ek gham-nasib ko tere gham se mafar nahin
fikr-e-jahan se mukhlisi hai bhi magar nahin
wo aashna nigah kam-amez hi rahi
is na-murad dil ki dua mein asar nahin


mizhgan harif-e-kawish-e-nakhun na ho sakin
sozish to hai pe lazzat-e-zakhm-e-jigar nahin
ranj-e-giran ke bojh se tare bhi thak gae
is zulmat-e-firaq ki shayad sahar nahin


phir bhi na jaane qalb-o-nazar muntazir hain kyon
muddat se koi saya lab-e-baam par nahin
wamandgi-e-dasht-e-tahayyur hai aur main
ye mukhtasar hayat magar mukhtasar nahin


sine ki zulmaton mein sulagta hai soz-e-ishq
dhundli si ek yaad ki nazdik-tar nahin
sahra-e-arzu mein jaras hai na sang-e-mil
dariya-e-khak-o-khun hai teri rahguzar nahin


21069 viewsghazalEnglish