ek hangam-e-musalsal hai jo barpa mujh mein
By shahzad-baigOctober 9, 2023
ek hangam-e-musalsal hai jo barpa mujh mein
karta rahta hai udasi ka izafa mujh mein
sham hote hi main ho jata hun aaina sa
dekh sakte ho sar-e-sham sarapa mujh mein
dhul baadal ki tarah udti chali jati hai
ek lashkar hai kisi or rawana mujh mein
jazb hai ek wo aalam ki jo sarshaari mein
ek arzhang-e-fusun-gar hai banata mujh mein
tod deti hai meri yas tahayya mera
bandh deta hai koi phir se irada mujh mein
ek patal thi aur us ke siwa kuchh bhi na tha
main ye samjha tha ki hai auj-e-surayya mujh mein
ba'd muddat jise pae bina laut aaya tha
us mohabbat ka mila mujh ko khazina mujh mein
dukh to ye hai yahi sakit kiye deta hai mujhe
ye jo aata hai nazar khun sa chalta mujh mein
habs badhta hi chala jata hai baatin mein mere
kash hota koi ik-adh daricha mujh mein
ab zamane mein hun main goya adam ki surat
han kisi daur mein hota tha zamana mujh mein
ab yahan koi nahin rah gaya samea tera
chhed mat ab koi 'shahzad' tu qissa mujh mein

24581 viewsghazal • English