ek harf-e-kun mein jis ne kaun-o-makan banaya sare jahan ka tujh ko aaram-e-jaan banaya bu-e-mohabbat apni rakkhi khuda ne is mein sine mein aadmi ke dil itr-dan banaya apni to is chaman mein nit umr yunhi guzri yan aashiyan banaya wan aashiyan banaya mehnat pe tuk nazar kar suratgar-e-azal ne chaalis din mein tera mim-e-dahan banaya az-bas-ki is safar mein manzil ko hum na pahunche aawargi ne hum ko reg-e-rawan banaya maghrur kyun na howe sanat par apni sane kis waste jab us ne ye gulistan banaya khun-e-jigar se mere gul ki shabih khinchi nale ko mere le kar sarw-e-rawan banaya aata hai 'mushafi' tu ye kis ke zakhm khae tir-e-jafa ka kis ne tujh ko nishan banaya sau tukde hai gareban daman lahu mein tar hai ye rang tu ne zalim apna kahan banaya