ek hasrat jo dil mein dabi rah gai

By abrar-asarJune 19, 2024
ek hasrat jo dil mein dabi rah gai
'umr bhar aankh mein phir nami rah gai
jo bhi manga khuda se mujhe mil gaya
jaane kyon aap ki hi kami rah gai


jab se rahen hamari hui hain juda
har taraf chikhti khamushi rah gai
aap jab se gae hain mujhe chhod kar
dil mein ek daimi bekali rah gai


pi liye sare dariya magar dosto
kyon labon par mere tishnagi rah gai
tha jo qismat mein us ki use mil gaya
meri taqdir mein sha'iri rah gai


tum agar mil bhi jao to kya faeda
zindagi ab kahan zindagi rah gai
maut ne ruh ko jab pukara 'asar'
hath malti hui zindagi rah gai


44819 viewsghazalEnglish