ek hi manzar to behtar tha hamein

By aarif-nazeerJuly 12, 2024
ek hi manzar to behtar tha hamein
yun pas-e-manzar ka kab dar tha hamein
failon se kah diya tha haal-e-dil
yar behtar ghar se daftar tha hamein


jam mein hota khulus-e-dil agar
ek qatra bhi samundar tha hamein
dil jo patthar tha wo patthar hi raha
kyon koi darpesh aazar tha hamein


ab hamein apni khabar rahti nahin
masala ma'lum ghar ghar tha hamein
ye raqib-e-jaan kabhi tha nama-bar
is se behtar to kabutar tha hamein


kis qadar rote the 'arif' phut kar
ek kandha jab mayassar tha hamein
81530 viewsghazalEnglish