ek hi masala ta-umr mera hal na hua nind puri na hui khwab mukammal na hua shahr-e-dil ka jo makin hai wo bichhadta kab hai jis qadar dur gaya aankh se ojhal na hua aaj bhi dil ki zamin khushk rahi tishna rahi aaj bhi mail-e-altaf wo baadal na hua raushni chhan ke tere rukh ki na mujh tak pahunche ek diwar hui ye koi aanchal na hua jin ko ek umr ka nazrana diye baithe hain aaj tak us se taaruf bhi mufassal na hua un se milte hain bichhad jate hain phir milte hain zinda rahne ka amal hum se musalsal na hua jis pe rakhna thi mujhe apni asas-e-hasti apni qismat mein 'munawar' wahi ek pal na hua