ek husn-e-kaamyab hai mausam basant ka
By bishan-dayal-shad-dehlviFebruary 26, 2024
ek husn-e-kaamyab hai mausam basant ka
'ishrat se baryab hai mausam basant ka
naghma-sara rabab hai mausam basant ka
bedari-e-shabab hai mausam basant ka
dil-dada-e-sharab hai mausam basant ka
paimana-e-sawab hai mausam basant ka
sab mausamon ki aab hai mausam basant ka
wallah aaftab hai mausam basant ka
sona bichha hua hai har ek sabza-zar par
taswir-e-inqilab hai mausam basant ka
har chiz par ubhaar hai har shakl par nikhaar
umda hua shabab hai mausam basant ka
sarson ki aabru pe zamane ki hai nazar
qismat ka la-jawab hai mausam basant ka
ranginiyon mein is ki mohabbat ki hai jhalak
taswir-e-be-hijab hai mausam basant ka
har zindagi pe chhai hui be-khudi si hai
bikhri hui sharab hai mausam basant ka
daman mein jis ke phulti phalti hai aarzu
wo husn-e-shokh-o-shab hai mausam basant ka
kya manzar-e-hasin hai ki dil shad 'shad' hai
jagir-e-iztirab hai mausam basant ka

92882 viewsghazal • English