ek husn-e-sarapa hai mere yar ghazal mein aashiq na kare kyon tera didar ghazal mein inkar mein makhmur nigahon ka asar hai har sher nazar aata hai sarshaar ghazal mein ab mere tasawwur mein nahin koi andhera bikhre hain tere husn ke anwar ghazal mein ashaar mein ab sirf siyasat ki hi baaten kam ho gaya zikr-e-lab-o-rukhsar ghazal mein ruswa koi ho jaega 'pardesi' samajh le achchha nahin yun ishq ka izhaar ghazal mein