ek jaise hain duniya mein kab aadmi
By tuaqeer-chughtaiMarch 1, 2024
ek jaise hain duniya mein kab aadmi
main 'ajib aadmi wo 'ajab aadmi
bhediye shahr mein aa ke kahne lage
hu-bahu apne jaise hain sab aadmi
us ne patthar ko sajda kiya tha kabhi
aa ke rota hai ab puri shab aadmi
bhuk se marne walon ka tha ye sawal
bhuk se jaan chhudaega kab aadmi
chikh sun ke bhi ab koi rukta nahin
khud mein dube guzarte hain sab aadmi
us se kahna ki 'tauqir' jaisa tujhe
mil na paega basti mein ab aadmi
main 'ajib aadmi wo 'ajab aadmi
bhediye shahr mein aa ke kahne lage
hu-bahu apne jaise hain sab aadmi
us ne patthar ko sajda kiya tha kabhi
aa ke rota hai ab puri shab aadmi
bhuk se marne walon ka tha ye sawal
bhuk se jaan chhudaega kab aadmi
chikh sun ke bhi ab koi rukta nahin
khud mein dube guzarte hain sab aadmi
us se kahna ki 'tauqir' jaisa tujhe
mil na paega basti mein ab aadmi
53754 viewsghazal • English